(Photo credits - http://photography.exposedout.net/2009/12/tea-stall/)
Chulhe par chadhi chai ki ketli
kabhi nukkad par nazar aayi
to kabhi train bus stationon par.
kabhi manzil par intezaar me mili
to kabhi musafiron ka maapa safar.
iski pendi par jami kaalikh
jaane kitni hi kahaniyon ki khurchan hon;
Maano bhari dopahar ke mehfil ke kisson
Aur kisi ke alsaaye sham-saweron
ka indhan hon.
Isme sikti chai ki tapish se
jaane kitne hi rishton ki neev gehrayi,
ya sirf isme aayi ek aayi ek ubaal ke saath
kisi kavi ki kalpana rachna me badal aayi.
aaj jab sham ki halki baarish me
gali ke chhor par ise us chai ki dukaan par dekha
to ek atrangi khwahish yahi jaagi
kaash main is ketli se nikalti bhaap
ki jubaan padh paati.
-M.Priyam
3 comments:
Nice lines
Thank you Chetan!!
Very Nice!!
http://navanidhiren.blogspot.com/
Post a Comment