Tuesday, October 14, 2014

Doosri Mulaqaat


Kabhi takaza hua sehar ka
Kabhi tapish ka kabhi  jalan ka
Kabhi raat  yun gehraayi
Chhip jane lagi parchhayi
Teri yaad ki karwaton
me ghul si gayi tanhayi
Saavan bhaaado ki risti chhappar
Ya jeth me lehakte gulmohar
Har gali shahar har sham pehar
Tere naam bhar par sab jata thehar
Kalbaisakh me jhoom uthe darakht
Aur roobaroo ho utha tere saath guzra waqt
Os ki boondein tera pratibimb banatin
Kirnon ki rangawali use jeewit kar jaatin
Pukar lo kabhi un parchhaiyon se
Ya un darakhton ki unchaiyon se
Na duniya se sarokaar,ab  naya hai kaarobar
Karte hain hum doosri mulaqaat ka intezaar



-M.Priyam 
14/10/14



No comments: